"Bezubaan"
Kis lamhe ne thaami ungli meri
Phusla ke mujhko le chala
Nange paaon daudi aankhein meri
Khwabon ki saari bastiyan
Har dooriyaan har faasle qareeb hain
Iss umr ki bhi shakhsiyat ajeeb hai
Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
Iss jeene mein kahin hum bhi thhe
Thhe zyada ya zara kam hi thhe
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan
Jeene ki ye kaise aadat lagi
Bematlab ye karze chadh gaye
Haadson se bach ke jaate kahaan
Sab rote hanste seh gaye
Ab ghalatiyan jo maan li toh theek hai
Kamzoriyon ko jo maat di toh theek hai
Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
Phusla ke mujhko le chala
Nange paaon daudi aankhein meri
Khwabon ki saari bastiyan
Har dooriyaan har faasle qareeb hain
Iss umr ki bhi shakhsiyat ajeeb hai
Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
Iss jeene mein kahin hum bhi thhe
Thhe zyada ya zara kam hi thhe
Ruk ke bhi chal pade magar
Raste sab bezubaan
Jeene ki ye kaise aadat lagi
Bematlab ye karze chadh gaye
Haadson se bach ke jaate kahaan
Sab rote hanste seh gaye
Ab ghalatiyan jo maan li toh theek hai
Kamzoriyon ko jo maat di toh theek hai
Jheeni jheeni inn saanson se
Pehchaani si awaazon mein
Goonje hai aaj aasmaan
Kaise hum bezubaan
0 comments:
Post a Comment